Yeh kis شہنشہِ والا ki aamad aamad hai Yeh kaun se Shah-e-bala ki aamad aamad hai
Yeh aaj taare zameen ki taraf hain kyun mail Yeh aasman se paiham hai noor kyun nazil
Yeh aaj kya hai zamane ne rang badla hai Yeh aaj kya hai ke aalam ka dhang badla hai
Yeh aaj kahe ki shaadi hai arsh kyun jhooma Lab-e-zameen ko lab-e-aasman ne kyun chooma
Samawa dooba hua aur Sawa khushk hua Khizaan ka daur gaya mausam-e-bahaar aaya
Yeh aaj kya hai ke but aundhe ho gaye saare Yeh aaj kyun hain shayateen bandhe hue saare
Yeh anbiya o rusul kis ke intezaar mein hain Yeh aaj Laat o Hubal kis se inkisaar mein hain
Yeh aaj Bushra lakum ki sada ka shor hai kyun Yeh Marhaba ki nidaon mein aaj zor hai kyun
Kaha jawab mein haatif ne lo mubarak ho Utho Khuda ke Habib aaye muzdah ho tum ko
Woh aaye aane ki jin ke khabar thi muddat se Dua Khalil ki Isa ki jo basharat the
Barho adab se karo arz assalamu alayk Wa ahl-e-baitika wal-aali wallatheena ladayk
Salam tum pe Khuda ka aur us ki rahmat ho Tahiyat us ki sana us ki us ki nemat ho
Durood aap pe har aan bheje Rab-e-Wadood Aur us ki barkaton ka roz aap par ho wurood
Salam aap par nazil kare salat o salam Buland zikr kare aap ka hamesha mudam
Yehi hain jin ko malaik salam karte hain Inhi ki madh o sana subh o sham karte hain





