Yeh ikram hai Mustafa par Khuda ka Ke sab kuch Khuda ka hua Mustafa ka
Yeh baitha hai sikka tumhari ata ka Kabhi haath uthne na paya guda ka
Chamakta hua chaand ghar-e-Hira ka Ujala hua burj-e-arsh-e-Khuda ka
Lahad mein amal ho na dev-e-bala ka Jo taweez mein naqsh ho naqsh-e-pa ka
Jo banda Khuda ka woh banda tumhara Jo banda tumhara woh banda Khuda ka
Mere gesuon wale main tere sadqe Ke sar par hujoom-e-bala hai bala ka
Tere zer-e-pa masnad-e-mulk-e-Yazdan Tere farq par taaj mulk-e-Khuda ka
Sahara diya jab mere nakhuda ne Huyi naav seedhi phira rukh hawa ka
Kiya aisa qadir qaza-o-qadar ne Ke qudrat mein hai pher dena qaza ka
Agar zer-e-deewar-e-sarkar baithoon Mere sar pe saya ho fazl-e-Khuda ka
Adab se liya taaj-e-shahi ne sar par Yeh paya hai sarkar ke naqsh-e-pa ka
Khuda karna hota jo taht-e-mashiyat Khuda ho kar aata yeh banda Khuda ka
Azaan kya jahan dekho imaan walo Pas-e-zikr-e-Haq zikr hai Mustafa ka
Ke pehle zaban hamd se paak ho le To phir naam le woh Habib-e-Khuda ka
Yeh hai tere eema-e-abru ka sadqa Hadaf hai asar apne teer-e-dua ka
Tera naam le kar jo mange woh paye Tera naam lewa hai pyara Khuda ka
Na kyonkar ho us haath mein sab khudai Ke yeh haath to haath hai Kibriya ka
Jo sahra-e-Taiba ka sadqa na milta Khilata hi na phool jhonka saba ka
Ajab kya nahin gar sarapa ka saya Sarapa sarapa hai saya Khuda ka
Khuda madh-khwan hai Khuda madh-khwan hai Mere Mustafa ka mere Mustafa ka
Khuda ka woh talib Khuda us ka talib Khuda us ka pyara woh pyara Khuda ka
Jahan haath phaila de mangta bhikari Wahi dar hai data ki daulat sara ka
Tere rutba mein jis ne choon-o-chara ki Na samjha woh badbakht rutba Khuda ka
Tere paon ne sar-bulandi woh payi Bana taaj-e-sar arsh-e-Rabb-e-Ala ka
Kisi ke jigar mein to sar par kisi ke Ajab martaba hai tere naqsh-e-pa ka
Tera dard-e-ulfat jo dil ki dawa ho Woh be-dard hai naam le jo dawa ka
Tere baab-e-aali ke qurban jaaun Yeh hai doosra naam arsh-e-Khuda ka
Chale aaun mujh jaan-lab ke kinare Ke sab dekh lein phir ke jana qaza ka
Bhala hai Hasan ka janab-e-Raza se Bhala ho Ilahi janab-e-Raza ka





