Rahmat na kis tarah ho gunahgaar ki taraf Rehman khud hai mere tarafdar ki taraf
Jaan-e-Jinan hai dasht-e-Madinah teri bahaar Bulbul na jaaye gi kabhi gulzaar ki taraf
Inkaar ka waqoo' toh kya ho Kareem se Maail hua na dil kabhi inkaar ki taraf
Jannat bhi lene aaye toh chhorein na yeh gali Moonh pher baithein hum teri deewaar ki taraf
Moonh us ka dekhti hain bahaarein bahisht ki Jis ki nigaah hai tere rukhsaar ki taraf
Jaan bakhshiyan Maseeh ko hairat mein daaltin Chup baithe dekhte teri raftaar ki taraf
Mahshar mein aaftaab udhar garam aur idhar Aankhein lagi hain daaman-e-dildaar ki taraf
Phaila hua hai haath tere dar ke saamne Gardan jhuki hui teri deewaar ki taraf
Go beshumaar jurm hon go be-adad gunaah Kuch gham nahi jo tum ho gunahgaar ki taraf
Yun mujh ko maut aaye toh kya poochhna mera Main khaak par nigaah dar-e-yaar ki taraf
Kaabe ke sadqe dil ki tamanna magar yeh hai Marne ke waqt moonh ho dar-e-yaar ki taraf
De jaate hain muraad jahaan maangye wahaan Moonh hona chahiye dar-e-Sarkar ki taraf
Roke gi hashr mein jo mujhe paashikastagi Daurrein ge haath daaman-e-dildaar ki taraf
Aaein dil-e-aseer se lab tak na aayi thin Aur aap daure aaye giraftaar ki taraf
Dekhi jo be-kasi toh unhein rahm aa gaya Ghabra ke ho gaye woh gunahgaar ki taraf
Bat-ti hai bheek daurte phirte hain be-nawa Dar ki taraf kabhi kabhi deewaar ki taraf
Aalam ke dil toh bhar gaye daulat se kya ajab Ghar daurne lagein dar-e-Sarkar ki taraf
Aankhein jo band hon toh muqaddar khule Hasan Jalwe khud aayein taalib-e-deedaar ki taraf





