Aasmaan gar tere talwon ka nazara karta Roz ik chand tasadduq mein utara karta
Tawaf-e-Rauza hi pe chakraye thay kuch nawaqif Main toh aapay mein na tha aur jo sajda karta
Sarsar-e-dasht-e-Madinah jo karam farmati Kyun main afsurdagi-e-bakht ki parwa karta
Chup gaya chand na aayi tere deedar ki taab Aur agar samne rehta bhi toh sajda karta
Yeh wahi hain ke giro aap aur un par machlo Ulti baton pe kaho kaun na seedha karta
Hum se zarr’on ki toh taqdeer hi chamka jata Meher farma ke woh jis rah se nikla karta
Dhoom zarr’on mein Ana-ush-shams ki par jati hai Jis taraf se hai guzar chand hamara karta
Aah kya khoob tha gar hazir-e-dar hota main Un ke saya ke talay chain se soya karta
Shauq-o-aadab baham garm-e-kashakash rehte Ishq gum-karda toh un aql se uljha karta
Aankh uthti toh main jhanjhla ke palak si leta Dil bigarta toh main ghabra ke sambhala karta
Bekhudana kabhi sajda mein su-e-dar girta Janib-e-qibla kabhi chaunk ke palta karta
Baam tak dil ko kabhi baal-e-kabootar deta Khaak par gir ke kabhi haye khudaya karta
Gaah marham-nahe-e-zakhm-e-jigar mein rehta Gaah nashtar-zani-e-khoon-e-tamanna karta
Hamrah-e-meher kabhi gard-e-khateera phirta Saya ke sath kabhi khaak pe lota karta
Sohbat-e-dagh-e-jigar se kabhi jee behlata Ulfat-e-dast-o-girebaan ka tamasha karta
Dil-e-hairaan ko kabhi zauq-e-tapish par lata Tapish-e-dil ko kabhi hausla farsa karta
Kabhi khud apne tahayyur pe hairan rehta Kabhi khud apne samajhne ko na samjha karta
Kabhi kehta ke yeh kya bazm hai kaisi hai bahaar Kabhi andaaz-e-tajahul se main tauba karta
Yun hi kehta ke yeh kya josh-e-junoon hai zalim Kabhi phir gir ke tarapne ki tamanna karta
Suthri suthri woh fiza dekh ke main gharq-e-gunah Apni aankhon mein khud is bazm mein khatka karta
Kabhi rehmat ke tasawwur mein hansi aajati Paas-e-aadab kabhi honton ko bakhya karta
Dil agar ranj-e-ma’asi se bigarne lagta Afw ka zikr suna kar main sambhala karta
Yeh mazay khoobi-e-qismat se jo paaye hote Sakht deewana tha gar khuld ki parwah karta
Maut us din ko jo phir naam-e-watan ka leta Khaak us sar pe jo is dar se kinara karta
Ae Hassan qasd-e-Madinah nahi rona hai yahi Aur main aap se kis baat ka shikwa karta





