Muraden mil rahi hain shaad shaad unka sawali hai Labon pe iltija hai haath mein roza ki jaali hai
Teri surat teri seerat zamane se nirali hai Teri har har ada pyare daleel-e-bemisaali hai
Bashar ho ya malak jo hai tere dar ka sawali hai Teri sarkar wala hai tera darbar aali hai
Woh jag-data ho tum sansaar baade ka sawali hai Daya karna ki is mangta ne bhi gadri bichali hai
Munawwar dil nahin faiz-e-qadoom-e-shah se roza hai Mushabbak seenah-e-ashiq nahin roza ki jaali hai
Tumhara qamat-e-yakta hai ikka bazm-e-wahdat ka Tumhari zaat-e-be-hamta misaal-e-bemisaali hai
Farogh-e-akhtar-e-badr aaftab-e-jalwa-e-aariz Ziya-e-tala-e-badr unka abroo-e-hilali hai
Woh hain Allah wale jo tujhe wali kahein apna Ke tu Allah wala hai tera Allah wali hai
Sahare ne tere gesu ke phera hai balaon ko Ishare ne tere abroo ke aayi maut tali hai
Nigah ne teer-e-zahmat ke dil-e-ummat se kheenche hain Muzah ne phans hasrat ki kaleja se nikali hai
faqiro benawaon apni apni jholiyan bharlo Ke baada bat raha hai faiz par sarkar aali hai
Tujhi ko khilat-e-yaktayi-e-aalam mila haq se Tere hi jism par mauzun qaba-e-bemisaali hai
Nikala kab kisi ko bazm-e-faiz-e-aam se tumne Nikali hai toh aane walon ki hasrat nikali hai
Barhe kyonkar na phir shakl-e-hilal-e-Islam ki ronaq Hilal-e-aasman-e-deen teri tegh-e-hilali hai
Faqat itna sabab hai ineqad-e-bazm-e-mahshar ka Ke unki shan-e-mahboobi dikhayi jaane wali hai
Khuda shahid ke roz-e-hashr ka khatka nahin rehta Mujhe jab yaad aata hai ke mera kaun wali hai
Utar sakti nahin tasveer bhi husn-e-sarapa ki Kuch is darja taraqqi par tumhari bemisaali hai
Nahin mahshar mein jisko dastaras Aqa ke daman tak Bhare bazaar mein us benawa ka haath khali hai
Na kyon ho ittehad-e-manzilat Makkah Madinah mein Woh basti hai Nabi wali toh yeh Allah wali hai
Sharaf Makkah ki basti ko mila Taiba ki basti se Nabi wali hi ke sadqe mein woh Allah wali hai
Wahi wali wahi Aqa wahi waris wahi Maula Main unke sadqe jaaun aur mera kaun wali hai
Pukaar ae jaan-e-Isa sun lo apne khasta halon ki Marz ne dard-mandon ki ghazab mein jaan dali hai
Muradon se tumhein daman bharo ge namuradon ke Ghareebon bekas-on ka aur pyare kaun wali hai
Hamesha tum karam karte ho bigre haal walon par Bigar kar meri halat ne meri bigri bana li hai
Tumhare dar tumhare aastan se main kahan jaaun Na mujh sa koi bekas hai na tum sa koi wali hai
Hasan ka dard dukh mauqoof farma kar bahali do Tumhare haath mein duniya ki mauqoofi bahali hai





