Bagh-e-Jannat mein nirali chaman araai hai Kya Madinah pe fida ho ke bahar aai hai
Un ke gesu nahi rahmat ki ghata chhai hai Un ke abru nahi do qiblon ki yakjaai hai
Sangrezon ne hayat-e-abadi paai hai Nakhunon mein tere ijaz-e-masihaai hai
Sar-e-baalin unhein rahmat ki ada laai hai Haal bigra hai to bimar ki ban aai hai
Jaan-e-guftar to raftar hui ruh-e-rawan Dam-e-qadam se tere ijaz-e-masihaai hai
Jis ke hathon ke banaye huye hain husn-o-jamal Ae haseen teri ada us ko pasand aai hai
Tere jalwon mein yeh alam hai ke chashm-e-alam Tab-e-deedar nahi phir bhi tamashaai hai
Jab teri yaad mein duniya se gaya hai koi Jaan lene ko dulhan ban ke qaza aai hai
Sar se pa tak teri surat pe tasadduq hai jamal Is ko mauzuni-e-aaza yeh pasand aai hai
Tere qadmon ka tabarruk yad-e-baiza-e-Kaleem Tere hathon ka diya fazl-e-masihaai hai
Dard-e-dil kis ko sunaun main tumhare hote Bekason ki isi sarkar mein sunwaai hai
Aap aaye to munawwar huin andhi aankhein Aap ki khak-e-qadam surma-e-binaai hai
Natwani ka alam hum zuafa ko kya ho Hath pakre huye Maula ki tawanai hai
Jaan di tu ne masiha-o-masihaai ko Tu hi to jaan-e-masiha-o-masihaai hai
Chashm-e-be-khwab ke sadqe mein hain bedar naseeb Aap jage to hamein chain ki neend aai hai
Bagh-e-Firdaus khula farsh bicha arsh saja Ik tere dam ki yeh sab anjuman araai hai
Khet sar-sabz huye phool khile mail dhule Aur phir fazl ki ghanghor ghata chhai hai
Hath phailaye huye daur pare hain mangta Mere Data ki sawari sar-e-hashr aai hai
Na-umido tumhein mujda ke Khuda ki rahmat Unhein mahshar mein tumhare hi liye laai hai
Farsh se arsh tak ik dhoom hai Allah Allah Aur abhi saikron pardon mein woh zebai hai
Ae Hasanؔ husn-e-jahan tab ke sadqe jaun Zarre zarre se ayan jalwa-e-zebai hai





