Bayaan ho kis zabaan se martaba Siddiq-e-Akbar ka Hai yaar-e-ghaar mehboob-e-Khuda Siddiq-e-Akbar ka
Ilahi raham farma khadim-e-Siddiq-e-Akbar hoon Teri rehmat ke sadqe wasta Siddiq-e-Akbar ka
Rusul aur ambiya ke baad jo afzal ho aalam se Yeh aalam mein hai kis ka martaba Siddiq-e-Akbar ka
Gada Siddiq-e-Akbar ka Khuda se fazl paata hai Khuda ke fazl se main hoon gada Siddiq-e-Akbar ka
Nabi ka aur Khuda ka madah go Siddiq-e-Akbar hai Nabi Siddiq-e-Akbar ka Khuda Siddiq-e-Akbar ka
Ziya mein mehr-e-aalam taab ka yun naam kab hota Na hota naam agar wajh-e-ziya Siddiq-e-Akbar ka
Zaeefi mein yeh quwwat hai zaeefon ko qawi kar dein Sahara lein zaeef-o-aqwiya Siddiq-e-Akbar ka
Khuda ikram farmata hai atqa keh ke Quran mein Karein phir kyun na ikram-e-atqiya Siddiq-e-Akbar ka
Safa woh kuch mili khaak-e-sar-e-koo-e-Payambar se Musaffa aaina hai naqsh-e-paa Siddiq-e-Akbar ka
Huye Farooq-o-Usman-o-Ali jab dakhil-e-bayat Bana fakhr-e-salasil silsila Siddiq-e-Akbar ka
Maqam-e-khwab-e-rahat chain se aaram karne ko Bana pehlu-e-mehboob-e-Khuda Siddiq-e-Akbar ka
Ali hain is ke dushman aur woh dushman Ali ka hai Jo dushman aql ka dushman hua Siddiq-e-Akbar ka
Lutaya raah-e-haq mein ghar kayi baar is mohabbat se Ke lut lut kar Hassan ghar ban gaya Siddiq-e-Akbar ka





