Jinn-o-insaan-o-malak ko hai bharosa tera Sarwara marja-e-kul hai dar-e-wala tera
Wah ae itr-e-Khuda saaz mehakna tera Khubru milte hain kapron mein paseena tera
Dehr mein aath pehar bat-ta hai baara tera Waqf hai maangne walon pe khazana tera
La-makan mein nazar aata hai ujala tera Door pohanchaya tere husn ne shehra tera
Jalwa-e-yaar idhar bhi koi phera tera Hasratein aath pehar takti hain rasta tera
Yeh nahi hai ke faqat hai yeh Madinah tera Tu hai mukhtar-e-do aalam pe hai qabza tera
Kya kahe wasf koi dasht-e-Madinah tera Phool ki jaan nazakat mein hai kanta tera
Kis ke daaman mein chhupe kis ke qadam par lute Tera sag jaye kahan chhor ke tukda tera
Khusraw-e-kon-o-makan aur tawaz-o aisi Haath takiya hai tera khaak bichhona tera
Khubruyan-e-jahan tujh pe fida hote hain Woh hai ae mah-e-Arab husn-e-dil-aara tera
Dasht-e-pur-haul mein ghera hai darindon ne mujhe Ae mere Khizr idhar bhi koi phera tera
Badshahan-e-jahan behr-e-gadai aayen Dene par aaye agar maangne wala tera
Dushman-o-dost ke munh par hai kushada yaksan Ro-e-aaina hai Maula dar-e-wala tera
Paon majrooh hain manzil hai kari bojh bohat Aah gar aise mein paya na sahara tera
Nek achhe hain ke a'maal hain un ke achhe Hum badoon ke liye kaafi hai bharosa tera
Aafton mein hai giraftar Ghulam-e-Ajami Ae Arab wale idhar bhi koi phera tera
Oonche oonchon ko tere saamne sajid paya Kis tarah samjhe koi rutba-e-a'la tera
Khaar-e-sahra-e-Nabi paon se kya kaam tujhe Aa meri jaan mere dil mein hai rasta tera
Kyun na ho naaz mujhe apne muqaddar pe ke hoon Sag tera banda tera maangne wala tera
Achhe achhe hain tere dar ki gadai karte Oonche oonchon mein bata karta hai sadqa tera
Bheek be-maange faqiron ko jahan milti hai Donon aalam mein woh darwaza hai kiska tera
Kyun tamanna meri mayoos ho ae abr-e-karam Sookhe dhanon ka madadgar hai chheenta tera
Haye phir khanda-e-be-ja mere lab par aaya Haye phir bhool gaya raton ka rona tera
Hashr ki pyaas se kya khauf gunahgaron ko Tishna kamon ka kharidar hai dariya tera
Sozan-e-gumshuda milti hai tabassum se tere Shaam ko subah banata hai ujala tera
Sidq ne tujh mein yahan tak to jagah payi hai Keh nahi sakte ulash ko bhi to jhoota tera
Khaas bandon ke tasadda-q mein rihayi paye Aakhir is kaam ka to hai yeh nikamma tera
Band-e-gham kaat diya karte hain tere abroo Pher deta hai balaon ko ishara tera
Hashr ke roz hansaye ga khatakaron ko Mere ghamkhar-e-dil shab mein yeh rona tera
Amal-e-nek kahan nama-e-badkaran mein Hai ghulamon ko bharosa mere Aaqa tera
Behr-e-deedar jhuk aaye hain zameen par tare Wah ae jalwa-e-dildar chamakna tera
Oonchi ho kar nazar aati hai har ik sheh chhoti Ja ke khursheed bana charkh pe zarra tera
Ae Madine ki hawa dil mera afsurda hai Sookhi kaliyon ko khila jata hai jhonka tera
Mere Aaqa hain woh abr-e-karam ae soz-e-alam Ek chheente ka bhi hoga na yeh dehra tera
Ab Hassan manqabat Khwaja-e-Ajmer suna Tab-e-pur-josh hai rukta nahi khama tera





