Yeh dil Arsh-e-A'zam bana chahta hai Ghar is mein Nabi ka hua chahta hai
Na poocho ke bande to kya chahta hai Faqat ek teri raza chahta hai
Ajab kya jo ins-o-malaik hain shaida Tumhein to tumhara Khuda chahta hai
Ghulamon pe kyonkar na tera karam ho Tu dushman ka bhi kab bura chahta hai
Sabhi ki nazar hai tere damanon par Har ek un ki thandi hawa chahta hai
Khuda ki raza ka hai har ek talib Khuda tera teri raza chahta hai
Na kyon donon aalam banain us ke mangta Arab wala sab ka bhala chahta hai
Har ek pesh-e-Khaliq azal se abad tak Waseela usi zaat ka chahta hai
Ajab pyara muzda hai Yuhbibkumullah Ke bando ko un ke Khuda chahta hai
Kinara bohat door kashti shikasta Ma'asi ka darya charha chahta hai
Khudara khabar lo ke koh-e-gunahan Sar-e-natawan par gira chahta hai
Ata us ko hoti hai fil-faur sehat Jo us dar se aakar dawa chahta hai
Na dunya ki khwahish na jannat ka talib Faqat ek tumhari raza chahta hai
Rahe wird dunya mein naam-e-mubarak Qayamat mein zill-e-liwa chahta hai
Sahara laga nakhuda-e-ghareeban Ke ab gharq beera hua chahta hai
Khudara bula lo ke banda tumhara Madine ki aab-o-hawa chahta hai
Madine pahunch kar dua yeh karoon ga Ke banda yahin par mara chahta hai
Dam-e-naz'a lillah surat dikha do Ke dunya se banda utha chahta hai
Ghulamon ki qabron ko pur-noor kar do Ke bando ka ab dam ghuta chahta hai
Nakeerain parda utha kar yeh keh do Ke banda tumhein dekhna chahta hai
Farishto mera haal dekhe to jao Madina se parda utha chahta hai
Munadi pukaray ga roz-e-qayamat Ke darbar-e-rehmat khula chahta hai
Fatarza hai shahid ke roz-e-qayamat Wahi hoga jo Mustafa chahta hai
Tu ho pehle banda Habeeb-e-Khuda ka Agar banday-e-haq bana chahta hai
Jameel apni jholi bohat jald phaila Ke Taiba se sadqa mila chahta hai





