Aankhon ka tara naam-e-Muhammad ﷺ Dil ko ujala naam-e-Muhammad ﷺ
Daulat jo chaaho dono jahan ki Kar lo wazeefa naam-e-Muhammad ﷺ
Paayein muraadein dono jahan ki Jis ne pukaara naam-e-Muhammad ﷺ
Rakho lahad mein jis dam azizo Mujh ko sunaana naam-e-Muhammad ﷺ
Roz-e-Qayamat mizan o pul par De ga sahara naam-e-Muhammad ﷺ
Gham ki ghataein chhaayi hain sar par Kar de ishaara naam-e-Muhammad ﷺ
Poochhay ga Maula laaya hai kya kya Main yeh kahoon ga naam-e-Muhammad ﷺ
Apne Jameel-e-Qadri ke dil mein Aa ja sama ja naam-e-Muhammad ﷺ





