Hain mazhar-e-zaat-e-Haq Rasool-e-Akram Mukhtar-o-khalifa-e-Khuda-e-aalam
Sirf unke sabab se sab ulul-azm huye Isa, Musa, Khalil-o-Nooh-o-Adam
Aalam ka unhein Khuda ne sultan kiya Jibreel-e-Ameen ko un ka darban kiya
Har cheez ka ikhtiyar un ko de kar Konain ko Haq ne un ka mehman kiya
Ya Rabb mere dil mein ishq apna de de Hubb-e-Nabi ka sar mein sauda de de
Hai be-sar-o-saman Jameel-e-Razvi Rehne ka Madine mein thikana de de
Sarkar ka faiz zer-o-bala dekha Har cheez mein noor-e-Shah-e-wala dekha
Hai arsh se farsh tak usi ka jalwa Jab gaur kiya Madine wala dekha
Shaha teri rehmat ka ishara ho jaye Roshan mere bakht ka sitara ho jaye
Is Sani-e-mutlaq ko jo aayi hai pasand Woh shakl meri aankh ka tara ho jaye
Batlaye koi Nabi ka dekha saya Saye ka bhi hota hai kisi ja saya
Jab saya-e-noor-e-azali woh thehra Parta kyon kar zameen par us ka saya
Kyon hashr se dar jayen gadayan-e-Nabi Kyon qabr mein ghabrayen gadayan-e-Nabi
Dunya mein jo hain Habib-e-Haq ke banday Ta-hashr hai un ke sar pe daman-e-Nabi
Hain Kaaba-e-konain Rasool-us-Saqalain Hain Qibla-e-darain Nabi-ul-Haramain
Kyon dono jahan na un ke dar par mangen Hain qasim-e-kul-e-shai Jadd-ul-Husnain
Kyon hashr mein bigri hui halat hogi Kab un ke ghulamon pe qayamat hogi
Kya khauf karen naar-e-jahannam se Jameel Hum par to wahan Nabi ki rehmat hogi





