Kar lo maqbool Ya Rasool Allah Yeh meri iltija Rasool Allah
Baani-e-majlis-e-mubarak ko Deeje behtar sila Rasool Allah
Jitne Sunni shareek-e-majlis hain Sab pe kar do ata Rasool Allah
Aap ke aastaan ke bande hain Bakhsh do har khata Rasool Allah
Har museebat mein keejiye imdaad Jab pukaarein ke Ya Rasool Allah
Us ki foran muraad bar aayi Jis ne dil se kaha Rasool Allah
Qabr mein hashr-o-nashr-o-meezan par Har alam se bacha Rasool Allah
Khuld mein apne saath le lena Apne bandon ko Ya Rasool Allah
Tere bande lagaye baithe hain Tera hi aasra Rasool Allah
Peer-o-murshid mere Janaab-e-Raza Un pe saaya tera Rasool Allah
Un ki aulad sab phale phoole Hashr tak da'iman Rasool Allah
Hamid-o-Mustafa Raza ke phool Mehkein ta-hashr Ya Rasool Allah
Un ki aulad ka qayamat tak Rahe gulshan hara Rasool Allah
Un ke a'ada pe rakh unhein ghalib Aur izzat barha Rasool Allah
Un ke a'ada pe qahr ki baarish Ta-abad da'iman Rasool Allah
Shaad-o-aabad un ke dost rahein Phalein phoolein sada Rasool Allah
Nechari, Gandhwi, Wahabi se Sunniyon ko bacha Rasool Allah
Sab mareezan-e-Ahle-Sunnat ko De do kaamil shifa Rasool Allah
Ahle-Sunnat ke naatwanon ko Kar do taqat ata Rasool Allah
Har jagah mere walidain pe ho Rahm-o-fazl aap ka Rasool Allah
Mere ahl-o-iyaal par rehmat Aap ki da'iman Rasool Allah
Karein Ahmad, Hameed aur Hamaad Hamd teri sada Rasool Allah
Umr-o-ilm-o-amal, dawami aish Un ko keeje ata Rasool Allah
Ranj-o-gham ki na dekhein shakal kabhi Teri rehmat se Ya Rasool Allah
Mere ahbaab par bhi fazl rahe Har ghari aap ka Rasool Allah
Ghaus-e-Azam ka wasta ho qabool Meri har iltija Rasool Allah
Apne bande Jameel Qadri ko Khaas banda bana Rasool Allah





