Dil kehta hai har waqt sifat un ki likha kar Kehti hai zabaan naat-e-Muhammad ki padha kar
Is mehfil-e-milaad mein ae bandah-e-sarkar Jab aaye durood us shah-e-aalam pe padha kar
Khaali kabhi phera hi nahin apne gada ko Ae saailo maango to zara haath utha kar
Khud apne bhikari ki bhara karte hain jholi Khud kehte hain Ya Rabb mere mangta ka bhala kar
A’da se jafa par ho jafa aur yeh dua dein Ya Rabb unhein imaan ki to aankh ata kar
Kuffar-e-bad-atwaar se padhwate hain kalma Ik chashni-e-lazzat-e-deedar chakha kar
Ae abr-e-karam baarish-e-rehmat teri ho jaaye Ho jaayein gunahgaar abhi paak naha kar
Kya door hai sarkar-e-Madinah ke karam se Thodi si jagah dein humein Taibah mein bula kar
Gar Hind mein marta hai koi aashiq-e-saadiq Le jaate hain Taibah mein malak us ko utha kar
Behkata hai yun nafs ke ghar chhod na apna Imaan yeh kehta hai Madine mein raha kar
Ae baad-e-saba itna karam behr-e-Khuda kar Le ja tu Madine ko meri khaak uda kar
Jo khuld na chahenge Madine ke ewaz mein Le jaayenge Rizwan unhein jannat mein mana kar
Hoga na asar hum pe ke hum abd-e-Nabi hain Haan aatish-e-dozakh humein dekhe to jala kar
Kya mehar-e-qayamat humein dikhlayega tezi Sarkar rakhenge humein daaman mein chhupa kar
Mujrim sahi badkaar sahi par hai yaqeen yeh Hum khuld mein jaayenge ke Maula ke hain chaakar
Hai naazon ki paali hui yeh ummat-e-aasi Maula yeh kahenge ke riha is ko Khuda kar
Tu hashr mein Allah Nabi se yeh kahega Mehboob jise chahe tu dozakh se riha kar
Hai kaun woh daulat jo na di un ko Khuda ne Woh kaun si sheh hai jo rakhi un se chhupa kar
Mukhtar bana kar unhein farmaya Khuda ne Jo chahe na de aur jise jo chahe ata kar
Yeh izzat-o-rif’at ke har ik sheh pe Khuda ne Naam un ka likha naam se hai apne mila kar
Allah ne di tere ghulamon ko yeh quwwat Murdon ko jila dete hain lab apne hila kar
Aalam ki khabar rakhte hain gar woh to ajab kya Bheja hai Khuda ne unhein har ilm sikha kar
Taleem di ik naam ko Jibreel-e-Ameen ne Aalam kiya Allah ne khud un ko padha kar
Aajana madad ke liye ae mah-e-Madinah Ahbaab chalein qabr mein jab mujh ko sula kar
Ik jaam-e-mai-e-ishq ka bandah ko pila kar Ya shah-e-Arab apni mohabbat mein fana kar
Yeh hukum mila rooh-e-Ameen ko shab-e-mi’raj Jibreel abhi la mere pyaare ko bula kar
Haazir dar-e-aqdas pe hue rooh-e-mu’azzam Aur arz yeh ki rehmat-e-aalam se jaga kar
Haazir hai Buraq aur hai taalib ka taqaza Hai hukum ke laao mere mehboob ko ja kar
Dulha bane taiyaar hue sahib-e-mi’raj Aur le chale Jibreel sawari ko saja kar
Sidrah pe thake baazu-e-Jibreel to aage Rafraf ne unhein chhod diya arsh pe la kar
Tanhai se khaif hue jab Shah to Rab ne Taskeen di Siddiq ki aawaaz suna kar
Phir arsh se paar apne qareen un ko bulaya Sab kuch diya mehboob ko deedar dikha kar
Mehboob ne ki arz ke Maula meri ummat Tu aaj ki shab naar-e-jahannam se riha kar
Jaan-e-dojahan rehmat-e-aalam pe ho qurbaan Aaya shab-e-mi’raj ghulamon ko chhada kar
Woh roz Jameel-e-Rizwi ko ho muyassar Kuch naat padhe rauzah-e-purnoor pe aakar





