We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Yaad Mein Jis Ki Nahi Hosh

Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi

Yaad mein jis ki nahin hosh-e-tan-o-jaan hum ko Phir dikha de woh rukh ai mehar-e-furozaan! hum ko


Dair se aap mein aana nahin milta hai hamain Kya hi khud rafta kya jalwa-e-jaanaan! hum ko


Jis tabassum ne gulistaan pe girayi bijli Phir dikha de woh ada-e-gul-e-khandaan hum ko


Kaash aawiza-e-qandeel-e-Madinah ho woh dil Jis ki sozish ne kiya rashk-e-charaghaan hum ko


Arsh jis khoobi-e-raftaar ka paamaal hua Do qadam chal ke dikha sarv-e-khuraamaan! hum ko


Sham-e-Taybah se main parwana rahoon kab tak door Haan jala de sharar-e-aatish-e-panhaan! hum ko


Khauf hai sam-e-kharashi-e-sag-e-Taybah ka Warna kya yaad nahin naala-o-afghaan hum ko


Khaak ho jaayain dar-e-paak pe hasrat mit jaaye Ya Ilahi na phira be-sar-o-saamaan hum ko


Khaar-e-sahra-e-Madinah na nikal jaaye kahin Wehshat-e-dil na phira koh-o-bayaabaan hum ko


Tang aaye hain do aalam teri betabi se Chain lene de tap-e-seena-e-sozaan hum ko


Paaon ghirbaal huay raah-e-Madinah na mili Ai junoon! ab to milay rukhsat-e-zindaan hum ko


Mere har zakhm-e-jigar se yeh nikalti hai sada Ai Maleeh-e-Arabi! kar de namakdaan hum ko


Sair-e-gulshan se aseeraan-e-qafas ko kya kaam Na de takleef-e-chaman bulbul-e-bustaam hum ko


Jab se aankhon mein samayi hai Madinah ki bahaar Nazar aatay hain khizaan deeda gulistaan hum ko



Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play


Gar lab-e-paak se iqraar-e-shafa'at ho jaaye Yun na be-chain rakhay joshish-e-isyaan hum ko


Nayyir-e-hashr ne ik aag laga rakhi hai! Tez hai dhoop milay saya-e-daamaan hum ko


Reham farmaiye Ya Shah ke ab taab nahin Taab ke khoon rulaye gham-e-hijraan hum ko


Chaak-e-daamaan mein na thak jaayio ai dast-e-junoon Purzay karna hai abhi jaib-o-garebaan hum ko


Parda us chehra-e-anwar se utha kar ik baar Apna aaina bana ai mehar-e-taabaan hum ko


Ai Raza! wasf-e-rukh-e-paak sunaanay ke liye Nazr detay hain chaman, murgh-e-ghazal khwaan hum ko

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah