Ya RasoolAllah aakar dekh lo Ya Madine mein bula kar dekh lo
Saikron ke dil munawwar kar diye Is taraf bhi aankh utha kar dekh lo
Kashta-e-deedar zinda ho abhi Jaan-e-Isa lab hila kar dekh lo
Kalma parhte jee uthein murde abhi Jaan-e-Isa lab hila kar dekh lo
Ranj-o-gham dard-o-alam ki mere gird Bheer hai Sarkar aakar dekh lo
Chhere jaate hain mujhe Munkar Nakeer Gor mein tashreef la kar dekh lo
Meri aankhon mein tumhi ho jalwa gar Chilman-e-muzhgan utha kar dekh lo
Yeh kabhi inkar karte hi nahi Benuwao aazma kar dekh lo
Chahe jo maango ata farmayenge Namurado haath utha kar dekh lo
Sair-e-jannat dekhna chaho agar Rauza-e-Anwar pe aakar dekh lo
Do-jahan ki sarfarazi ho naseeb Un ke aage sar jhuka kar dekh lo
Toor par jalwa jo dekha tha Kaleem Aaj yaan parda utha kar dekh lo
Un ki rif'at ka pata milta nahi Mehr-o-mah chakkar laga kar dekh lo
Is Jameel-e-Qadri ko bhi Huzoor Apne dar ka sag bana kar dekh lo





