Ya Muhammad, Muhammad main kehta raha Noor ke motiyon ki lari ban gayi Aayaton se milata raha aayatein Phir jo dekha to naat-e-Nabi ban gayi
Jo bhi aansoo bahe mere mehboob ke Sab ke sab abr-e-rehmat ke cheentay banay Ho gayi raat jab, zulf lehra gayi Jab tabassum kiya chandni ban gayi
Yeh to maana ke jannat hai baagh-e-haseen Khoobsurat hai sab khuld ki sarzameen Husn-e-jannat ko par, jab sameeta gaya Sarwar-e-Ambiya ki gali ban gayi
Jab chura tazkira un ke rukhsaar ka Wad-duha parh liya wal qamar keh diya Suraton ki tilaawat bhi hoti rahi Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi
Sab se Saim zamane mein mazoor tha Sab se bekas tha, be-bas tha, majboor tha Un ko reham aa gaya mere haalaat par Meri azmat meri be-basi ban gayi





