Noori mehfil pe chadar tani noor ki Noor phaila hua aaj ki raat hai
Chandni mein hain doobay huay do jahan Kaun jalwa numa aaj ki raat hai
Farsh par dhoom hai arsh par dhoom hai Hai woh badbakht jo aaj mehroom hai
Phir yeh aayegi shab kis ko maloom hai Aam lutf-e-Khuda aaj ki raat hai
Moomino aaj ganj-e-sakha loot lo Loot lo ae mareezo! shifa loot lo
Aasiyo rehmat-e-Mustafa ﷺ loot lo Baab-e-rehmat khula aaj ki raat hai
Abr-e-rehmat hain mehfil pe chaaye huay Aasman se malaaik hain aaye huay
Khud Muhammad ﷺ hain tashreef laaye huay Kaisi ronaq faza aaj ki raat hai
Maang lo maang lo chashm-e-tar maang lo Dard-e-dil aur husn-e-nazar maang lo
Sabz gumbad ke saaye mein ghar maang lo Maangne ka maza aaj ki raat hai
Us taraf noor hai us taraf noor hai Saara aalam musarrat se maamoor hai
Jis ko dekho wohi aaj masroor hai Mehak uthi fiza aaj ki raat hai
Waqt laaye Khuda sab Madine chalein Lootne rehmaton ke khazeene chalein
Sab ke manzil ki janib safeene chalein Meri Saimؔ dua aaj ki raat hai





