We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Tu Shah e KhoobanNot Verified

Saim Chishti

Tu Shah-e-Khooban, tu jaan-e-jaanan, hai chehra Umm-ul-Kitab tera Na ban saki hai, na ban sake ga, misaal teri jawab tera


Tu sab se awwal, tu sab se aakhir, mila hai husn-e-dawam tujh ko Hai umr laakhon baras ki teri, magar hai taaza shabab tera


Khuda ki ghairat ne daal rakhe hain tujh pe sattar hazaar parde Jahan mein ban jaate Toor laakhon jo ek bhi uthta hijaab tera


Ho mushk-o-ambar, ya boo-e-jannat, nazar mein us ki hai be-haqeeqat Mila hai jis ko, mila hai jis ne paseena rashk-e-gulaab tera



Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play


Main tere husn-o-bayaan ke sadqe, main teri meethi zabaan ke sadqe Ba-rang-e-khushboo dilon pe utra hai kitna dilkash khitaab tera


Hai tu bhi Saim ajeeb insaan ke khauf-e-mahshar se hai harasaan Are tu jin ki hai naat parhta wohi to lenge hisaab tera

Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah