Thandi thandi hawa rehmaton ki chali Ban ke mauj-e-karam Mustafa ﷺ aa gaye Hal meri ho gayin khud-ba-khud mushkilain Saare aalam ke mushkil kusha aa gaye
Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye
Aaminah ka muqaddar sanwara gaya God mein chaand jis ki utara gaya Hoor-o-ghilman salami ko jhukne lage Parhte Rizwan salle-ala aa gaye
Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye
Donon aalam ki qismat badalne lagi Noor mein saari kaunain dhalne lagi Khush-muqaddar Haleema mubarak tujhe God mein teri Khair-ul-Wara aa gaye
Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye
Ban gayi hai zameen rashk-e-baagh-e-jinaan Saj gaye aasman khil utha gulistan Maang lo rehmatain khol lo jholiyan Dene khairaat haajat rawa aa gaye
Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye Aaj koi bhi Saim na khaali rahe Sab muradain milain har museebat tale Madani Aaqa ki aamad ka sadqa mile Bheek lene ko hum Ya Khuda aa gaye
Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye Aa gaye aa gaye Mustafa ﷺ aa gaye





