Muhammad Mustafa ka naam le kar jhoom leta hoon Tasawwur mein sunahri jaaliyon ko choom leta hoon
Muhammad Mustafa ﷺ ki naat kehne ka sila dekho Main ghar baithe Madine ki gali mein ghoom leta hoon
Mehak uthti hain jab raahein chamak uthti hain jab galiyan Udhar se hain gaye Aaqa main kar maloom leta hoon
Muhammad ﷺ kuch nahi dete jo kehta hai are zaalim Main un ko maan kar daata badal maqsoom leta hoon
Tufail-e-Panjetan aur Sheikh-e-Kamil ke tasarruf se In aankhon se main dil ko haal kar maloom leta hoon
Main khud ash'aar likhta hoon are Saim meri toba Koi irshaad karta hai main kar manzoom leta hoon





