Ya Khuda har dam nigah mein un ka kashana rahe Dono aalam mein khayal-e-roo-e-janana rahe
Aye Arab ke chand tere zarre ka zarra hoon main Ta abad pur-noor mere dil ka kashana rahe
Kyun mu'attar ho na khushboo se do-aalam ka dimagh Panja-e-qudrat tere gaisu ka jab shana rahe
Jis makan ki apne paaye pak se izzat barhayen Kyun na sab amraz ka woh ghar shifakhana rahe
Zindagi mein ba'd-e-murdan un ke naam-e-pak se Ya Khuda abad mere dil ka veerana rahe
Ain-e-imaan hai yahi aur hai har ik momin pe farz Un ke naam-e-pak ka duniya mein mastana rahe
Wird-e-lab misra ho yeh jab sair hon pyase tere Saqi-e-Kausar tera abad maikhana rahe
Mast un ke jhoomte hain josh mein kehte hue Saqi-e-Kausar tera abad maikhana rahe
Kyun jalaye nar-e-dozakh us ko aye sham-e-huda Jo fida duniya mein tum par misl-e-parwana rahe
Mahv-e-nazara rahen ta hashar aankhen ya Khuda Aur dil-e-wahshi rukh-o-gaisu ka deewana rahe
Kar buland aisa alam Islam ka aye Shah-e-Deen Masjiden abad hon veeran butkhana rahe
Hai Jameel Qadri ke wird-e-lab Naat-e-Nabi Ba'd-e-murdan bhi lahad mein zikr-e-janana rahe





