We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Woh Mah e Arab Aaj Kaaba

Jamil ur Rehman Qadri

Woh mah-e-Arab aaj Kaaba mein chamka Jo maalik hai saare Arab-o-Ajam ka


Na hota agar woh to kuch bhi na hota Yeh jalwa hai aalam mein sab us ke dam ka


Hua us taraf rehmat-e-Haq ka daura Jidhar ho gaya ek phera karam ka


Main us adl-o-insaaf-o-rehmat ke qurbaan Mita naam aalam se zulm-o-sitam ka


Kiya saare aalam ko sarshaar-e-wahdat Utha daur duniya se kufr-o-sanam ka


Mili hum ko Islam-o-Eemaan ki daulat Yeh hai faiz sab tere jood-e-atam ka


Hai kaafi hamare liye do jahaan mein Ishaara faqat teri chashm-e-karam ka


Arab waale Aaqa ki di jab duhaai Usi dam hua rang faq har alam ka



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Yahaan par lahad mein qayamat mein pul par Sahaara hai bas ik Shafee-ul-Umam ka


Arab ke qamar mujh ko soorat dikha do Main duniya mein mehman hoon koi dam ka


Khuda ne unhein laamakaan mein bulaya Bayaan kis se ho un ke jaah-o-hasham ka


Jo Rizwan Madine ko dekhein to keh dein Ke naqsha hai bilkul yeh baagh-e-Iram ka


Tere ilm-o-sam-o-baseerat ka munkir Wahabi hai kambakht andha janam ka


Kahe shirk jis ko usi mein ho shaamil Adharmi hai kya theek tere dharm ka


Jameel apne Aaqa ka midhat-sara hai Karam hai Raza ki nigaah-e-karam ka

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah