We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Wasf-e-rukh un ka kiya karte hain sharh-e-Wal-shamsi-wad-duha karte hain Un ki hum madh-o-sana karte hain jin ko Mahmood kaha karte hain


Mah-e-shaqq-gashtah ki surat dekho kanp kar mehr ki raj'at dekho Mustafa pyare ki qudrat dekho kaise a'jaz hua karte hain


Tu hai khurshid-e-risalat pyare chhup gaye teri ziya mein tare Anbiya aur hain sab mah-pare tujh se hi noor liya karte hain


Ae bala-be-khiradi-e-kuffar rakhte hain aise ke haq mein inkar Ke gawahi ho gar us ko darkar be-zaban bol utha karte hain


Apne Maula ki hai bas shan-e-azeem janwar bhi karein jin ki ta'zeem Sang karte hain adab se tasleem ped sajde mein gira karte hain


Rif'at-e-zikr hai tera hissa dono alam mein hai tera charcha Murgh-e-Firdous pas az hamd-e-Khuda teri hi madh-o-sana karte hain


Ungliyan payein woh pyari pyari jin se dariya-e-karam hain jaari Josh par aati hai jab gham-khwari tishne sairab hua karte hain


Haan yahin karti hain chiriyan faryaad haan yahin chahti hai harni daad Isi dar par shutran-e-nashad gila-e-ranj-o-ana karte hain


Aastein rahmat-e-alam ulte kamar-e-pak pe daman bandhe Girne walon ko chah-e-dozakh se saaf alag khinch liya karte hain


Jab saba aati hai Taiba se idhar khilkhila padti hain kaliyan yaksar Phool jama se nikal kar bahar rukh-e-rangeen ki sana karte hain


Tu hai woh badshah-e-kon-o-makan ke malak haft falak ke haraan Tere Maula se Shah-e-Arsh-e-Aiwan teri daulat ki dua karte hain


Jis ke jalwe se Uhad hai taban ma'dan-e-noor hai us ka daman Hum bhi us chand pe ho kar qurban dil-e-sangin ki jila karte hain



Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play


Kyun na zeba ho tujhe taj-wari tere hi dam ki hai sab jalwa-gari Malak-o-jinn-o-bashar hoor-o-pari jaan sab tujh pe fida karte hain


Toot padti hain balayein jin par jin ko milta nahi koi yawwar Har taraf se woh pur-arman phir kar un ke daman mein chupa karte hain


Lab par aa jata hai jab nam-e-janab munh mein ghul jata hai shahd-e-nayab Wajd mein ho ke hum ae jan betab apne lab choom liya karte hain


Lab pe kis munh se gham-e-ulfat layein kya bala dil hai alam jis ka sunayein Hum to un ke kaf-e-pa par mit jayein un ke dar par jo mita karte hain


Apne dil ka hai unhi se aaram sonpe hain apne unhi ko sab kaam Lau lagi hai ke ab is dar ke ghulam chara-e-dard-e-Raza karte hain

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah