Wasf kya likhe koi us mahbit-e-anwaar ka Mehar-o-mah mein jalwa hai jis chand se rukhsar ka
Arsh-e-a'zam par pharera hai Shah-e-Abrar ka Bajta hai kaunain mein danka mere sarkar ka
Do jahan mein bat-ta hai barah isi sarkar ka Donon aalam paate hain sadqa isi darbar ka
Jaari hai aathon pehar langar sakhi darbar ka Faiz par har dam hai dariya Ahmad-e-Mukhtar ka
Rauza-e-wala-e-Tayyibah makhzan-e-anwaar hai Kya kahun aalam mein tujh se jalwa-gah-e-yaar ka
Dil hai kis ka jaan kis ki sab ke maalik hain wahi Donon aalam par hai qabza Ahmad-e-Mukhtar ka
Kya kare sone ka kushta kushta-e-teer-e-ishq ka Deed ka pyasa kare kya sharbat-e-deenaar ka
Faq ho chehra mehar-o-mah ka aise munh ke saamne Jis ko qismat se mile bosa teri pezaar ka
Laat maari tum ne duniya par agar tum chahte Silsila sone ka hota silsila-e-kohsaar ka
Main teri rehmat ke qurbaan ae mere amn-o-amaan Koi bhi pursaan nahin hai mujh se bad-kirdar ka
Hain ma'asi had se bahar phir bhi Zahid gham nahin Rehmat-e-aalam ki ummat banda hun Ghaffar ka
Tu hai rehmat baab-e-rehmat tera darwaza hua Saya-e-fazl-e-Khuda saya teri deewar ka
Ka'ba-o-Aqsa-o-Arsh-o-Khuld hain Noori magar Hai nirala sab se aalam jalwa-gah-e-yaar ka





