Tumhare zarre ke par-tao sitarah-e-falak Tumhare na'l ki naqis misl ziya-e-falak
Agarcha chhale sitaron se par gaye lakhon Magar tumhari talab mein thake na pa-e-falak
Sar-e-falak na kabhi taba-e-aastan pahuncha Ke ibtida-e-bulandi thi intiha-e-falak
Yeh mit ke unki ravish par hua khud unki ravish Ke naqsh-e-pa hai zameen par na saut-e-pa-e-falak
Tumhari yaad mein guzri thi jaagte shab bhar Chali naseem, hue band deedaha-e-falak
Na jaag uthein kahin ahl-e-baqi kacchi neend Chala yeh narm na nikli sada-e-pa-e-falak
Yeh un ke jalwa ne kein garmiyan shab-e-Isra Ke jab se charkh mein hain nuqra-o-tala-e-falak
Mere Ghani ne jawahar se bhar diya daaman Gaya jo kasa-e-mah le ke shab gada-e-falak
Raha jo qani-e-yak naan-e-sookhta din bhar Mili huzoor se kaan-e-gauhar jaza-e-falak
Tajammul shab-e-Isra abhi simat na chuka Ke jab se waisi hi kotal hain sabza-ha-e-falak
Khitab-e-Haq bhi hai dar-bab-e-khalq min ajalik Agar udhar se dam-e-hamd hai sada-e-falak
Yeh ahl-e-bait ki chakki se chaal seekhi hai Rawaan hai be-madad-e-dast aasiya-e-falak
Raza yeh na't-e-Nabi ne bulandiyan bakhshin Laqab "Zameen-e-falak" ka hua sama-e-falak





