Tumhara naam musibat mein jab liya hoga Hamara bigra hua kaam ban gaya hoga
Gunhegar pe jab lutf o karam aap ka hoga Kya baghair kya be kiya kiya hoga
Khuda ka lutf huwa hoga dastgeer zaroor Jo girte girte tera naam le liya hoga
Dikhai jayegi mehshar mein shaan-e-mehboobi Ke aap hi ki khushi aap hi ka kaha hoga
Khuda-e-paak ki chahengi agle pichle khushi Khuda-e-paak khushi unki chahta hoga
Kisi taraf se sadaa ayegi huzoor aao Nahi to dam mein gareebon ka faisla hoga
Kisi ke pallay yeh honge waqt-e-wazan-e-amal Koi ummeed se munh unka tak raha hoga
Koi kahega dahai hai Ya Rasool Allah To koi thaam ke daaman machal gaya hoga
Kisi ko leke chalenge farishtey soey hajeem Woh unka rasta phir phir ke dekhta hoga
Shikasta paa hoon mere haal ki khabar kar do Koi kisi se yeh ro ro ke keh raha hoga
Pakad ke haath koi haal-e-dil sunayega To ro ke qadmon se koi lipat gaya hoga
Zabaan sokhi dikha kar koi lab-e-Kausar Janab-e-paak ke qadmon pe gir gaya hoga
Aziz bachcha ko maa jis tarah talash kare Khuda gawah yahi haal aap ka hoga
Main unke dar ka bhikhari hoon fazl-e-Mawla se Hasan faqeer ka jannat mein bistara hoga





