Tum zaat-e-Khuda se na juda ho na Khuda ho Allah ko maloom hai kya jaaniye kya ho
Yeh kyun kahun mujh ko yeh ata ho woh ata ho Woh do ke mere ghar bhar ka bhala ho
Jis baat pe mushir-e-jahan hai lab-e-Isa Aye jaan-e-jahan woh teri thokar se ada ho
Toote hue dam josh pe toofan-e-ma’asi Daman na mile un ka to kya jaaniye kya ho
Mitti na ho barbad pas-e-marg, Ilahi Jab khaak ure meri Madinah ki hawa ho
Mangta to hai mangta koi shahon mein dikha de Jis ko mere Sarkar se tukra na mila ho
Qudrat ne azal mein yeh likha un ki jabeen par Jo un ki raza ho wohi Khaliq ki raza ho
Har waqt karam banda-nawazi pe tula hai Kuch kaam nahi us se, bura ho ke bhala ho
Sau jaan se gunehgar ka ho rakht-e-amal chaak Parda na khule gar tere daman se bandha ho
Abrar-e-neko-kar Khuda ke hain Khuda ke Un ka hai woh un ka hai jo bad ho bura ho
Aye nafs unhein ranj diya apni badi se Kya qahr kiya tu ne are tera bura ho
Allah yunhi umr ka bhi ada ho nahi sakta Sar kham ho dar-e-paak pe aur haath utha ho
Shukr ek karam ka bhi ada ho nahi sakta Dil un pe fida jaan-e-Hasan un pe fida ho





