Tum ho hasrat nikalne wale Namuradon ke paalne wale
Mere dushman ko gham ho bigri ka Aap hain jab sambhalne wale
Tum se munh mangi aas milti hai Aur hote hain taal ne wale
Lab-e-jaan-bakhsh se jila dil ko Jaan murde mein daalne wale
Dast-e-aqdas bujha de pyaas meri Mere chashme ubaalne wale
Hain tere aastaan ke khaak-nasheen Takht par khaak daalne wale
Roz-e-mahshar bana de baat meri Dhali bigri sambhalne wale
Bheek de bheek apne mangta ko Ae gareebon ke paalne wale
Khatm kar di hai un pe mauzooni Wah saanche mein dhaalne wale
Un ka bachpan bhi hai jahan-parwar Ke woh jab bhi the paalne wale
Paar kar naao hum gareebon ki Doobton ko nikalne wale
Khaak-e-Taibah mein be-nishan ho ja Are au naam uchhaalne wale
Kaam ke hon ke hum nikamme hon Woh sabhi ke hain paalne wale
Zang se paak saaf kar dil ko Andhe sheeshe ujaalne wale
Khaar-e-gham ka Hasan ko khatka hai Dil se kaanta nikalne wale





