Tujh se sukhan ki aabru Meri mata-e-fikr tu Mera hunar teri sana Salli ala Nabiyyina
Tera shaoor-e-be-baha Auj-e-bashar ki inteha Farsh se arsh tak raha Aankh se rooh tak gaya Chadare-noor jism par Parda-e-meem ism par Abd se abd, bana Salli ala Nabiyyina
Tu hai nawa-e-Izadi Goonj teri sadi sadi Tera qayam bhi safar Tera sarab bhi nadi Chaha tujhe hayat ne Madar-e-kainat ne Tujh sa bashar nahi jina Salli ala Nabiyyina
Faqr bhi tera shah-gar Saya bhi matla-e-sahar Naghma-o-nikhat-o-charagh Saut-o-samata-o-nazar Aks-e-Khuda-e-lam yazal Aina-khana-e-amal Peeri shabab bachpana Salli ala Nabiyyina
Tu mera markaz-o-asas Mera sukoon tere paas Meri nazar mein tere rang Meri ragon mein teri baas Aye mere wali-o-amir Main tere husn ka aseer Main tere ishq mein fana Salli ala Nabiyyina
Karta raha tera mizaj Chara-garon ka bhi ilaj Jin ke saron pe ghao thay Bakhsh diye tu ne un ko taj Khak-ba-sar hua gharoor Kanp utha tere huzoor Tajwaron ka tantana Salli ala Nabiyyina





