Tira shukriya Tajdar-e-Madinah Mujhe phir dikhaya diyar-e-Madinah
Haseen patta patta haseen daali daali Haseen sab ka sab lala-zar-e-Madinah
Khuda! dil se duniya ki ulfat mita de Tu de ulfat-e-Tajdar-e-Madinah
Bhula de chaman ke nazaron ko beshak Hai aisa haseen regzar-e-Madinah
Main Rizwan-e-Jannat ko tohfe mein donga Ata kijiye chand khar-e-Madinah
Madine mein ghar sab ke ghamkhwar ka hai Jabhee to sabhi hain nisar-e-Madinah
Tujhe wasta Ya Khuda Mustafa ka Bana de mujhe dilfigar-e-Madinah
Agar ho yaqeen zakhm bhar jayenge sab Laga lo zara sa ghubar-e-Madinah
Tadapte hain jo hijr-o-furqat mein Aaqa Dikha do unhein bhi bahar-e-Madinah
Idhar se udhar kyun bhatakta phiroon main Muqaddar se hoon reza-khwar-e-Madinah
Madine mein marne ka mujh ko sharaf do Karam Ya Nabi Tajdar-e-Madinah
Do Attar ko ashkbar aankh Aaqa Paye Ghous Ya Shahryar-e-Madinah





