Tera naam wird-e-zabaan rahe meri aur koi dua nahin Mujhe apne dard ki bheek de ke tere khazane mein kya nahin
Tere waaste jo malool hai wahi Khuda ko qabool hai Jo fida nahin tere naam par use dil bhi kehna rawa nahin!
Yeh karam hain mere Huzoor ﷺ ke sada mere kase bhare rahein Jo mere Nabi ke gada huye woh toh baadshah hain gada nahin
Hain haseen dil ki woh dhadkanein hama-waqt jo tera naam lein Hai bujhi bujhi si woh zindagi tera dard jis ko mila nahin
Woh ghari bhi aaye ghari ghari tere dar pe ho meri haaziri Tere dar se door rahoon agar koi zindagi ka maza nahin
Yeh inayat'on pe inayat'ein teri anginat hain nawazishein Hain karam Ghareeb Nawaaz ke woh hai kya jo mujh ko mila nahin
Ho karam nawazi Huzoor ki mere gham kade mein bhi aa kabhi Mere chara-gar aye mere Nabi mera koi tere siwa nahin
Yeh tere Niazi ki eid hai abhi aur hasrat-e-deed hai Ise choom lene do jaaliyan abhi sil toh is ka bhara nahin





