We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Main Nahi Maangta Zamany SeNot Verified

Abdul Sattar Khan Niazi

Main nahi maangta zamane se Rabta hai sakhi gharane se


Jin ke nana Nabi hain baba Ali Meri nisbat hai us gharane se


Hum ko jo kuch mila Khuda ki qasam Panjtan ke sakhi gharane se


Badshah ho wazir ho ke faqir Sab ko milta hai us khazane se


Sarwar-e-do-jahan ki shan-e-karam Poochh un ke kisi diwane se



No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play


Rehmaton se saja hai ghar mera Mehfil-e-naat ke sajane se


Bhaag jitne bhi lage Niazi ko Woh lage un ke aastane se

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah