Ya Shafee-e-Umam Allah kar do karam Shala wasda rahowe tera sohna Haram Hum ghulamon ka rakhiyo khudara bharam Shala wasda rahowe tera sohna Haram
Muntashir hain khayalat ki wadiyan Lut gaya hai sukoon Auli-e-Do Jahan Door ho jaayen gham tujh ko teri qasam Shala wasda rahowe tera sohna Haram
Teri chokhat ke mangat hain jaayen kahan Apni rahmat se bhar dijiye jholiyan Hum hain ummeed-war-e-karam ho karam Shala wasda rahowe tera sohna Haram
Teri yaadon se mamoor seena rahe Saamne mere tera Madinah rahe Dar pe baitha rahoon le ke main chashm-e-num Shala wasda rahowe tera sohna Haram
Kis ko ja kar kahein Tajdar-e-Haram Ghera daale hue hain zamane ke gham Rahm farmayiye teri ummat hain hum Shala wasda rahowe tera sohna Haram
Ya Nabi apni ulfat ki soghat de Apni shayan-e-shaan mujh ko khairat de Is se matlab nahin ke sawa ho ya kam Shala wasda rahowe tera sohna Haram
Chhod kar tera dar kyun phiroon dar-ba-dar Haan tere ghar se achha nahin koi ghar Ho tumhi mera deen aur mera dharm Shala wasda rahowe tera sohna Haram
Hazri ho Niazi ki darbar mein Zindagi ho basar zikr-e-sarkar mein Aate jaate rahein teri chokhat pe hum Shala wasda rahowe tera sohna Haram





