Aik roz ho ga jana sar-kaar ki gali mein Hoga kabhi thakaanah sar-kaar ki gali mein
Aankhen to dekhne ko pehle hi muttarib thin Dil bhi hua rawana sar-kaar ki gali mein
Go paas kuch nahi hai lekin yeh dekh lega Aik din mujhe zamana sar-kaar ki gali mein
Kabhi ho haseen tasavvur kabhi khud mein jaaun chal kar Rahe yun hi ana jana sar-kaar ki gali mein
Hain kahin khazaan ke pehrein kahin do ghari bahaarain Mausam sada sahaana sar-kaar ki gali mein
Dil mein Nabi ki yaadein lab par Nabi ki naatein Jana to aise jana sar-kaar ki gali mein
Yahi rasm aashqi hai yahi jaan-e bandagi hai Sar rakh ke nah uthana sar-kaar ki gali mein
Samjhenge hum Niazi un ki karam-nawazi Jis din hoey rawana sar-kaar ki gali mein





