Ae saba Sarkar ki baatein suna Sayyid-e-Abrar ki baatein suna
Main duroodon ke hoon naghme chhedta Tu zara Sarkar ki baatein suna
Jis se hasil ho sukoon-e-dil mujhe Haan zara us yaar ki baatein suna
Hum na jaane kab Madine jayenge Tu zara man-thaar ki baatein suna
Main padhoon wajdan mein sall-e-ala Pyaar se dildaar ki baatein suna





