Tabiyat aaj kyun aisi rasa hai Ke khud apni zabaan par marhaba hai
Saba kyun is qadar itra rahi hai Chaman mein kaun sa ghuncha khula hai
Ana dil gaa rahi hain kyun tarane Yeh kaisa shaad har shah-o-gada hai
Yeh kaise shadiyane baj rahe hain Yeh kyun baab-e-musarrat aaj waa hai
Tahayyur jab barha haatif pukara Raza-e-Qadri dulha bana hai
Barati hain tamami Ahle-Sunnat Raza-e-Qadri dulha bana hai
Tawakkul ke shajar mein phal yeh aaya Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Tarane gaa rahi hain qumriyan aaj Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Ummeedon ke khule hain aaj ghunche Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Bareilly ka naseeba jagmagaya Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Barati aa rahe hain wajd karte Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Yeh dekho sadqa-e-Siddiq-e-Akbar Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Yeh hai Farooq-e-Azam ki karamat Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Karam Usman-e-Zunnoorain ka hai Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Sakhawat hai Ali Murtaza ki Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Ghata Baghdad se uthi karam ki Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Yeh hai Baghdad wale ka tasarruf Ke Abdul-Mustafa dulha bana hai
Mubarak Ahle-Sunnat ko mubarak Raza-e-Qadri dulha bana hai
Kahein kyonkar na achhe tujh ko achha Huzoor achhe ka toh achha hua hai
Bhikari aa rahe hain bheek lene Raza ke dars-e-baara bat raha hai
Jalein aada-e-deen naar-e-hasad mein Ke yun hi un ki qismat ka buda hai
Raza kyonkar na ho aada pe ghalib Ke woh toh naib-e-Sher-e-Khuda hai
Munafiq hai adu is aastaan ka Jo Sunni hai woh is dar ka guda hai
Rukh-e-Qibla agar poochho toh keh doon Dar-e-Ahmad Raza Qibla-numa hai
Bi-hamd-illah khushbu-e-Raza se Dimagh-e-Ahle-Sunnat bas raha hai
Phale un ka Ilahi bagh-e-aulad Yeh har Sunni ke lab par iltija hai
Jameel-e-Qadri Alhamdulillah Ke tu is aastane ka guda hai





