Sultan-e-jahan mehboob-e-Khuda teri shan-o-shaukat kya kehna Har shay pe likha hai naam tera tere zikr ki rif'at kya kehna
Hai sar par taj-e-nabuwwat ka joda hai tan pe karamat ka Sehra hai jabeen pe shafa'at ka ummat pe hai rehmat kya kehna
Inna a'tainakal kausar farmaye tere haq mein Dawar Wehdat ka kya tujh ko mazhar aur di hai kasrat kya kehna
Me'raj hui ta-arsh gaye haq tum se mila tum haq se mile Sab raaz-e-fa-auha dil pe khule yeh izzat-o-hashmat kya kehna
Hooron ne kaha SubhanAllah ghilman ne pukara SallAllah Aur qudsi bole IllaAllah hai arsh pe da'wat kya kehna
Quran kalam-e-Bari hai aur teri zaban se jaari hai Kya teri fasahat pyari hai aur teri balaghat kya kehna
Baaton se tapakti lazzat hai aankhon se barasti rehmat hai Khutbay se chamakti haibat hai aye Shah-e-Risalat kya kehna
Sab misl-e-hatheli pesh-e-nazar har ghaib ayan hai seene par Yeh noor-e-nazar yeh chashm-e-basar yeh ilm-o-hikmat kya kehna
Ho husn-e-Nabi ki kaise sifat jis ki hai Khuda ko bhi chahat Wal-shamsi chamak Taha rang phir is mein malahat kya kehna
Har zarra tera deewana hai har dil mein tera kaashana hai Har shama teri parwana hai aye shama-e-hidayat kya kehna
Siddiq-o-Umar Usman-o-Ali aur un ke siwa ashab-e-Nabi Qurban rahe Aqa pe sabhi ki khoob rafaqat kya kehna
Siddiq hain jaan-e-sadaqat ki Farooq hain shan-e-adalat ki Usman hain kaan-e-murawwat ki Haider ki wilayat kya kehna
Do phool Batooli gulshan ke ik sabz hue ik surkh hue Baghdad-o-Arab jin se mehke un phoolon ki nikhat kya kehna
Gaisoo-e-karam khul jayen agar rehmat ki ghata barse jam kar Pyase yeh kahein khush ho ho kar aye abr-e-rehmat kya kehna
Aankhon se kiya darya jaari aur lab pe dua pyari pyari Ro ro ke guzari shab sari aye haami-e-ummat kya kehna
Aalam ki bharein har dam jholi khud khayein to bas jao ki roti Woh shan-e-ata-o-sakhawat ki yeh zuhd-o-qana'at kya kehna
Shohrat hai Jamil itni teri yeh sab hai karamat murshid ki Kehte hain tujhe maddah-e-Nabi sab Ahlesunnat kya kehna





