Bagh-e-do aalam dam se tumhare hai gulzar Rasul-Allah Kon-o-makan hain rukh se tumhare pur anwar Rasul-Allah
Tum ho hashar ke raaj dularay noor-e-Ilahi arsh ke taray Naiya mori laga do kinaray khewan haar Rasul-Allah
Maula tum ne hamaray gham mein shab bhar rokar ki hain aahain Ummat par hai roz-e-azal se kitna pyar Rasul-Allah
Bhooli bheerein hum hain tumhari charon taraf hain gurg shikari Koi nahi hai bachanay wala ho gham khwar Rasul-Allah
Haaye na ki kuch hum ne kamai laho-o-la'ab mein umar ganwai Ab jo ghari pursish ki aayi tum ho yaar Rasul-Allah
Chaho bigaro ya ke sambhalo chaho dubaao ya ke nikalo Tum ho hamaray maalik-o-hakim hum lachar Rasul-Allah
Maula chashm-o-qalb mein aaja lillah bakht-e-siyah chamka ja Ujra ban hai hamaray dil ka kar gulzar Rasul-Allah
Karke shafa'at tum bakhshaao daaman dhak kar aib chhupaao Hashar mein apna koi nahi hai haami-e-kaar Rasul-Allah
Raah kathan aur door hai manzil sar par isyan paon hain ghayal Haaye chalein hum le kar kyunkar yeh anbaar Rasul-Allah
Khol do gesu barsay rehmat dhul kar isyan paak ho ummat Chamkay siyah bakhton ki qismat shab hai taar Rasul-Allah
Dooba hua suraj palta ya chand ko tukray karke dikhaya Hukm se teray karsakay koi kab inkaar Rasul-Allah
Chaho jisay firdous mein jaa do chaho jisay dozakh mein bhejo Jannat-o-naar hain milk tumhari ho mukhtar Rasul-Allah
Khud hi Khuda ne tum ko parhaya ilm na tum se koi chhupaya Rab ne tumharay kholay hain tum par sab asraar Rasul-Allah
Aaj Jameel-e-Qadri dil se zikr apnay Aaqa ka karle Door karein gay beshak teray sab afkaar Rasul-Allah





