Khuda ke fazl se hum par hai saaya Ghous-e-Azam ka Hamein dono jahan mein hai sahara Ghous-e-Azam ka
Humari laaj kis ke haath hai Baghdad wale ke Museebat taal dena kaam kis ka Ghous-e-Azam ka
Hua mauqoof foran hi barasna ahl-e-majlis par Jo paaya abr-e-baaran ne ishara Ghous-e-Azam ka
Farishte madrase tak saath pahunchane ko jaate the Yeh darbar-e-Ilahi mein hai rutba Ghous-e-Azam ka
Azizo kar chuko tayyar jab mere janaze ko Toh likh dena kafan pe naam-e-wala Ghous-e-Azam ka
Nida de ga munadi hashr mein yun Qadriyon ko Kidhar hain Qadri karlein nazara Ghous-e-Azam ka
Rasool-e-Allah ka dushman hai Ghous-e-Pak ka dushman Rasool-e-Allah ka pyara hai hai pyara Ghous-e-Azam ka Jameel Qadri sau jaan se qurbaan murshid par Banaya jis ne mujh jaise ko banda Ghous-e-Azam ka





