Sayyah-e-Arsh, naqsh-e-kaf-e-paye-Mustafa ﷺ Kaun-o-makan safina-e-darya-e-Mustafa ﷺ
Ik boriya-nasheen ne banti hukumatein Sairab kar gaya hamein sahra-e-Mustafa ﷺ
Palte hain aftab, Muhammad ﷺ ke saaye mein Hota hai zee-shaoor ko sauda-e-Mustafa ﷺ
Jalte rahenge mere lahoo ke charagh bhi Main bhi hoon ik shaheed-e-tamanna-e-Mustafa ﷺ
Rangeeniyon ki zindagi ka lalach na de mujhe Main hoon har ek rang mein jooya-e-Mustafa ﷺ
Un ka karam na ho to main ik pal na jee sakoon Chalti hai meri saans ba-eema-e-Mustafa ﷺ
Mirreekh-o-mahtab hain duniya ki manzilein Mera urooj, Gumbad-e-Khizra-e-Mustafa ﷺ





