Shukriya aap ka Sultan-e-Madinah wale Mujh sa aasi bhi hai mehman-e-Madinah wale
Mujh kamine ko Madinah mein bulaya tum ne Hai yeh ehsan pe ehsan-e-Madinah wale
Zair-e-qabr-e-munawwar ki shafa'at hogi Hai yehi aap ka farman-e-Madinah wale
Main bhi toh zair-e-rawzah hoon Rasool-e-Arabi! Mujh ko mat bhoolna Sultan-e-Madinah wale
Daulat-e-ishq se Aaqa meri jholi bhar do Bas yehi ho mera saman-e-Madinah wale
Aap ke ishq mein ae kash ke rote rote Yeh nikal jaye meri jaan-e-Madinah wale
Tere dar par toh adu ko bhi amaan milti hai Main teri shaan ke qurban-e-Madinah wale
Apne qadmon se khudara na juda kijiyega Ho gunahgar pe ehsan-e-Madinah wale
Aap bhooke rahein aur pet pe patthar bandhein Ne'amaton ke dein hamein khwan-e-Madinah wale
Hashr mein tum mere aibon ko chupaye rakhna Hoon gunahon pe pashaiman-e-Madinah wale
Main Madinah ki gali ka koi kutta hota Kash! hota na main insaan-e-Madinah wale
Mujh ko deewana Madinah ka banalo Aaqa Bas yehi hai mera armaan-e-Madinah wale
Ik jhalak chehra-e-anwar ki dikha do ab toh Waqt-e-rukhsat hai chali jaan-e-Madinah wale
Is gunahgar ko daaman mein chhupa lo Aaqa! Yeh bichara hai pareshan-e-Madinah wale
Kash! Attar ho azaad gham-e-dunya se Bas tumhara hi rahe dhyan-e-Madinah wale





