Shukr tera ho sake kis tarah Rahman-e-Rasool Mujh se aasi ko kiya tu ne sana-khwan-e-Rasool
Ya Ilahi ishq-e-Maula mein mujhe aisa guma Ta-abad nikle na mere dil se arman-e-Rasool
Amr un ka amr-e-Rab hai nahi un ki nahi-e-Rab Woh hai farman-e-Ilahi jo hai farman-e-Rasool
Do jahan mein aftab-e-Hashmi ki hai ziya Aaina hain har do aalam pesh-e-chashman-e-Rasool
Hain malak rozay pe hazir daab-e-shahi ke liye Warna khud Maula Ta'ala hai nigahban-e-Rasool
Bhool jaye bagh-o-gul ko chhod de sair-e-chaman Andaleeb-e-zaar gar dekhe bayaban-e-Rasool
Un ke dar se bheek paate hain salatin-e-jahan Badshahan-e-zamana hain gadayan-e-Rasool
Ek hum hain jo firaq-o-hijr mein tadpa karein Ik woh hain jo bane qismat se darban-e-Rasool
Chal diye jo Rauza-e-Shah ki ziyarat ke liye Ho gaye ghar se nikalte hi woh mehman-e-Rasool
Hai bayaban-e-Madinah jaan-e-ahl-e-khuld ki Aabru-e-Jannat-ul-Ma'wa gulistan-e-Rasool
SAWFA YU'TIKA FATARDA mohar hai is baat par Khuld mein be-shubha jayenge gadayan-e-Rasool
Is tarah aayenge un ke naam-lewa hashr mein Lab pe hoga naam-e-Haq hathon mein daman-e-Rasool
Ya Ilahi aftab-e-hashr jab tezi dikhaye Saya-gastar ho gunahgaron pe daman-e-Rasool
Karbala walon ka sadqa Shah-e-Jilan ka tufail Aasiyon ke jurm dho de chashm-e-giryan-e-Rasool
Un ke qadmon par kiye qurban apne jaan-o-maal Aafreen sad aafreen ae jaan-nisaran-e-Rasool
Munkiran-e-majlis-e-milad se keh de koi Mehfil-e-aqdas mein aa kar dekh lein shan-e-Rasool
Jis tarah Wasif hai duniya mein Jamil Qadri Hashr mein bhi ho yunhi ya Rab sana-khwan-e-Rasool





