Shaair-e-fitrat hoon jab bhi fikr farmata hoon main Rooh ban kar zarre zarre mein sama jata hoon main
Aa ke tujh bin is tarah ae dost! ghabrata hoon main Jaise har shay mein kisi shay ki kami pata hoon main
Jis qadar afsana-e-hasti ko dohrata hoon main Aur bhi begana-e-hasti hua jata hoon main
Jab makan-o-la-makan sab se guzar jata hoon main Allah Allah tujh ko khud apni jagah pata hoon main
Teri surat ka jo aaina use pata hoon main Apne dil par aap kya kya naaz farmata hoon main
Yak-ba-yak ghabra ke jitni door hat aata hoon main Aur bhi us shokh ko nazdeek-tar pata hoon main
Meri hasti shauq-e-paiham meri fitrat iztiraab Koi manzil ho magar guzra chala jata hoon main
Haye ri majbooriyan tark-e-mohabbat ke liye Mujh ko samjhate hain woh aur un ko samjhata hoon main
Meri himmat dekhna meri tabiyat dekhna Jo sulajh jati hai gutthi phir se uljhata hoon main
Husn ko kya dushmani hai, ishq ko kya bair hai Apne hi qadmon ki khud hi thokrein khata hoon main
Ta-kuja yeh parda-dari haye ishq-o-laaf-e-husn Haan sambhal jaain do-alam hosh mein aata hoon main
Meri khatir ab woh takleef-e-tajalli kyon karein Apni gard-e-shauq mein khud hi chhupa jata hoon main
Wah re shauq-e-shahadat koo-e-qatil ki taraf Gungunata, raqs karta, jhoomta jata hoon main
Dekhna! is ishq ki yeh turfa-kari dekhna Woh jafa karte hain mujh par aur sharmata hoon main





