Shahanshah-e-do aalam ka karam hai Mere dil ko mayassar un ka gham hai
Yahin rehte hain woh jaan-e-baharaan Yeh duniya dil ki rashk-e-sad-e-Iram hai
Bhala daaway hain un se hamsari ke Sar-e-arsh-e-bareen jin ka qadam hai
Yeh darbar-e-Nabi hai jis ke aage Na jaane arsh-e-azam kab se kham hai
Taras khao meri tishna labi par Meri pyaas aur ik jaam kam hai
Dil-e-betab ko behlaun kaise Barhay gi aur betabi sitam hai
Yahan qaboo mein rakhiye dil ko Akhtar Yeh darbar-e-shahanshah-e-umam hai





