Shaha-e-dojahan mein hai shohra teri rehmat ka Har zarra sana khwan hai Maula teri rifat ka
Kuch sarf-e-ghulamon ki takhsees nahi is mein Kuffar ne bhi paya sadqa teri rehmat ka
Hum bhool gaye tujh ko tu ne na kabhi chhora Kis munh se karein phir hum dawa teri chahat ka
Khud ummati banne ki Malik se tamanna ki Musa ne suna jis dam rutba teri ummat ka
Makhlooq-e-Ilahi hai sheyda to tajjub kya Jab khud tera Khaliq hai pyara teri surat ka
Is sar ki sarafraazi aalam se bayan kya ho Jis sar pe rakha Haq ne taj apni niyabat ka
Darbar-e-adalat mein hota jo na tu hami Gharqab hi hojata beda teri ummat ka
Hum tere siva kis se faryad karein apni Zimma to liya tu ne ummat ki himayat ka
Perti hai nazar sab ki Aaqa tere daman par Uthta hai teri janib munh sari hi khilqat ka
Maidan-e-Qayamat mein jitne bhi khade honge Munh hashr mein dekhenge pyari teri ummat ka
Allah Ta'ala ko is bazm-e-Qayamat mein Manzoor dikhana hai sab ko teri izzat ka
Kya gham hai ghulamon ko ghabrate hain kyun Aasi Sardar-e-Madinah jab dulha hai shafa'at ka
Fehrist khuli jis dam Jannat mein pohanchne ki Pehle hi nikal aaya number teri ummat ka
Ik aan mein dho dena isyan ke siyah naamey Adna sa karishma hai is chashm-e-inayat ka
Siddiq-o-Umar dono bhejenge ghulamon ko Jis waqt khule ga dar Maula teri Jannat ka
Yeh hukm-e-Malik hoga Malik se ke ae Malik Baqi na rahe koi Mehboob ki ummat ka
Sab ahl-e-ma'asi ke jab wazn huye isyan Un sab pe hua bhari palla teri rehmat ka
Hai naaz faqat hum ko Aaqa ki shafa'at par Tosha to nahi kuch bhi paas apne ibadat ka
Darbar-e-adalat mein Allah se keh doon ga Dede tu sila mujh ko Mehboob ki midhat ka
Dono hon baham yakja Ka'aba bhi Madinah bhi Gar Ka'aba-e-dil mein ho naqsha teri turbat ka
Phir qalb mein bandon ke ik zalzala paida ho Gar zikr sunayein hum Shaha teri shaukat ka
Zunnar-o-sanam tode eeman ke diye tode Ailan kiya tum ne jis waqt risalat ka
Suraj to palat aaya aur chand banaye do Sarf ek ishara tha angusht-e-shahadat ka
Farzandon ko Jabir ke ik aan mein jaan bakhshi Qudrat to dikhani thi aur naam tha dawat ka
Bandon ko diya sab kuch faqon pe guzari khud Woh taur sakhawat ka yeh haal qana'at ka
A'da ne to eeza di Maula ne dua yun ki Dikhla de inhe Ya-Rab rasta tu hidayat ka
Jab qabr mein dekhun ga keh doon ga yeh Aaqa se Yaan khench ke laya hai arman-e-ziyarat ka
Abu Jahal ko shan in ki kis tarah nazar aati Kazzab ki aankhon par parda tha zalalat ka
Sunni ki zaban par to hai zikr-e-Nabi har dam Najdi ka wazifa hai yeh shirk yeh bid'at ka
Kyun naaz Jameel apni qismat pe na ho mujh ko Is noor ka banda hoon mazhar hai jo wahdat ka





