Shah-e-Kaunain jalwa-numa ho gaya Rang-e-aalam ka bilkul naya ho gaya
Muntakhab aap ki zaat-e-wala hui Naam-e-pak aap ka Mustafa ho gaya
Mil gaya tujh se Allah ka raasta Haq se milne ka tu wasta ho gaya
Aap woh noor-e-Haq hain ke Quran mein Wasf-e-rukh aap ka waddoha ho gaya
Aisa azaaz kis ko Khuda ne diya Jaisa bala tera martaba ho gaya
Lamakan mein bulaya Khuda ne tujhe Arsh-o-kursi se bhi tu wara ho gaya
Aisi nafiz tumhari hukumat hui Tum ne jis waqt jo kuch kaha ho gaya
Mah do-para hua suraj ulta phira Jab ishara tumhara zara ho gaya
Kun ki kunji na kyonkar ho teri zabaan Hukm-e-Rehman tera kaha ho gaya
Lab-e-Isa se zahir tha jo mojaza Teri thokar se Mawla ada ho gaya
Sair kar jaayen aakar janab-e-Masih Shahr-e-Tayyaba bhi dar-ul-shifa ho gaya
Khak-e-rauza ki kuhl-ul-jawahir hui Taj-e-shahaan tera naqsh-e-pa ho gaya
Aatish-e-ishq-e-Mawla se jo dil tapa Mail se saaf ho kar khara ho gaya
Jis ne nazzara-e-sabz gumbad kiya Us ka poora har ik mudda ho gaya
Hum bhi Tayyaba ko ud jaayenge ek din Naaz kyon tujh ko baad-e-saba ho gaya
Tere hi noor se dono aalam bane Tu hi to ibtida inteha ho gaya
Us ne wallah Allah ko pa liya Jo koi tujh pe dil se fida ho gaya
Haq Ta'ala ka woh banda-e-khaas hai Sachay dil se jo banda tera ho gaya
Paar gardab-e-isyaan se kyonkar na ho Jis ki kashti ka tu nakhuda ho gaya
Tere sadqay ke har dard-o-gham mein tu hi Naam-lewon ka mushkil-kusha ho gaya
Naam-e-naami tera naam-e-Haq Ya Nabi Natawanon ke haq mein asa ho gaya
Us ko fursat gham-e-do-jahaan se mili Jo bhi dil se ghulam aap ka ho gaya
Roo-siyahon ko koi nahi poochta Haan bharosa teri zaat ka ho gaya
Asiyon ka nahi koi pursaan-e-haal Ik sahara faqat aap ka ho gaya
Roz-e-mahshar har ik naam-lewa tera Ik isharey mein tere riha ho gaya
Lo mubarak tumhare liye asiyo Baab-e-rehmat Muhammad ka wa ho gaya
Khalq kyonkar na us ko kahe tajdar Jo tere aastan ka gada ho gaya
Sarwaro ki usay sarwari mil gayi Tere rauza pe jo sar fida ho gaya
Kyon na hasil ho us ko hayat-e-abad Rauza-e-pak par jo fana ho gaya
Ya Nabi teri chaukhat pe ushaq ko Maut aur zindagi ka maza ho gaya
Kuch bashar hi nahi balkay jin-o-malak Sab ko sadqa tumhara ata ho gaya
Wah wah teri izzat ke tere sabab Teri ummat pe fazl-e-Khuda ho gaya
Naam tera shaha har marz ke liye Naam-lewon ko tere dawa ho gaya
Daagh-e-ulfat ki aisi badhi taazgi Zakhm dil ka hamaray hara ho gaya
Gor mein hashr mein daagh-e-ishq-e-Nabi Ghairat-e-shams-o-badru-duja ho gaya
Naam tera dam-e-naz'a jis ne liya Us ka imaan par khatma ho gaya
Dushman-o-dost muflis gareeb-o-ameer Tere sadqay mein sab ka bhala ho gaya
Ilm-e-ghaib-e-Nabi ka jo munkir hua Qahr-e-Qahhar mein mubtala ho gaya
Dekh aaina Najdi ke tauheen se Tera chehra to ulta tawa ho gaya
Naaz kar ae Jameel apni qismat pe tu Khak-e-na'lain-e-Ahmed Raza ho gaya





