Shadaid-e-naz'a ke kaise sahoon ga Ya RasulAllah Andheri qabr mein kaise rahoon ga Ya RasulAllah
Mujhe marna hai Aqa gumbad-e-khazra ke saaye mein Watan mein mar gaya to kya karoon ga Ya RasulAllah
Na chhore jurm chhutte hain na maare nafs marta hai Na jaane nek aakhir kab banoon ga Ya RasulAllah
Sada meethi nazar rakhna agar tum ho gaye naraaz Na hargiz main kahin ka bhi rahoon ga Ya RasulAllah
Andhera kaat khata hai akele khauf aata hai To tanha qabr mein kiyonkar rahoon ga Ya RasulAllah
Nakirain imtihan lene ko jab aayenge turbat mein Jawab-aat un ko Aqa kaise doon ga Ya RasulAllah
Baraye naam dard-e-sar saha jata nahi mujh se Azab-e-qabr kaise seh sakoon ga Ya RasulAllah
Yahan chiyonti bhi tarpa de mujhe to qabr ke andar Main kiyonkar dank bichhu ke sahoon ga Ya RasulAllah
Yahan mamooli garmi bhi sahi jaati nahi mujh se To garmi hashr ki kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Zameen tapti hui khursheed bhi shola-fishan hoga Barahna pa khara kaise rahoon ga Ya RasulAllah
Sar-e-hashr bala ki dhoop hai Aqa karam kar do Main kya mehroom-e-Kausar se rahoon ga Ya RasulAllah
Gunahon ke khule daftar khara hoon aah! Meezan par Nahi hain nekiyan ab kya karoon ga Ya RasulAllah
Hai sar par baar-e-isiyan pul-e-sirat ab paar ho kaise! Sambhalo warna dozakh mein giroon ga Ya RasulAllah
Baroz-e-hashr gar chashm-e-karam mujh par na ki tum ne Main ja kar kis ke daman mein chhupoon ga Ya RasulAllah
Main mujrim hoon jahannam mein agar phenka gaya mujh ko Halakat hogi haye! kya karoon ga Ya RasulAllah
Lapak kar aag ke shole lipat-te honge barbadi Karam kar do yeh sab kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Andheri aag hogi roshni bilkul nahi hogi Karam kar do yeh sab kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Wahan kaanon mein, aankhon mein, dahan mein, pait mein bhi aag! Karam kar do yeh sab kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Jibal-e-naar honge wadiyan bhi naar ki hongi Karam kar do yeh sab kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Farishte daant-te honge hathore maarte honge Karam kar do yeh sab kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Wahan saanp aur bichhu bhi musalsal das rahe honge Karam kar do yeh sab kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Ghiza dozakh ki thohar aur oopar kholta paani Karam kar do yeh sab kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Na maange maut aayegi na behoshi hi chhayegi Karam kar do yeh sab kaise sahoon ga Ya RasulAllah
Jo tum chaaho ge to hongi meri sab mushkilen aasaan Warna naar mein, main ja paroon ga Ya RasulAllah
Tumhara hoon ghulam aur hai ghulami par mujhe to naaz Karam se sath jannat mein chaloon ga Ya RasulAllah
Zabaan par hoga us dam Ya RasulAllah ka naara Baroz-e-hashr jis dam main uthoon ga Ya RasulAllah
Gham-e-ummat mein rota dekh kar tum ko sar-e-hashr Shaha! qaboo mein kaise dil rakhoon ga Ya RasulAllah
Sunno ya mat sunno main to pukare jaunga tum ko Jahan mein jab talak Aqa jiyoon ga Ya RasulAllah
Karam farma ke ho Attar bhi is qaul ka misdaq ’’Teri khatir jiyoon ga aur maroon ga‘‘ Ya RasulAllah





