Sarwar kahoon ke Maalik-o-Maula kahoon tujhe Baagh-e-Khalil ka gul-e-zaiba kahoon tujhe
Allah rahe tere jism-e-munawwar ki taabishein Ae jaan-e-jaan main jaan-e-tajalla kahoon tujhe
Mujrim hoon apne afw ka saamaan shaha Ya'ni shafi-e-roz-e-jaza ka kahoon tujhe
Tere to wasf aib-e-tanahi se hain bari Hairan hoon mere Shah main kya kya kahoon tujhe
Keh legi sab kuch un ke sana khwan ki khamoshi Chup ho raha hai keh ke main kya kya kahoon tujhe
Lekin Raza ne khatm-e-sukhan is pe kar diya Khaliq ka banda khalq ka aaqa kahoon tujhe





