Sar-e-subh-e-sa'adat ne gareban se nikala Zulmat ko mila 'alam-e-imkan se nikala
Paidaish-e-Mehboob ki shadi mein Khuda ne Muddat ke giraftaron ko zindan se nikala
Rehmat ka khazana paye taqseem-e-gadayan Allah ne teh-khana-e-pinhan se nikala
Khushbu ne anadil se chhuraye chaman-o-gul Jalwe ne patangon ko shabistan se nikala
Hai husn-e-galoo-e-meh-e-Bat-ha se ye roshan Ab mehr ne sar un ke gareban se nikala
Parda jo tere jalwa-e-rangeen ne uthaya Sarsar ka 'amal sahn-e-gulistan se nikala
Us mah ne jab mehr se ki jalwa numai Tarikiyon ko sham-e-ghariban se nikala
Ae Mehr-e-Karam teri tajalli ki ada ne Zarron ko bala-e-shab-e-hijran se nikala
Sadqe tere ae mard-e-mak-deeda-e-Ya'qoob Yousuf ko teri chah ne Kan'an se nikala
Hum doobne hi ko the ke Aqa ki madad ne Girdab se kheencha hamain toofan se nikala
Ummat ke kaleja ki khalish tum ne mitayi Toote hue nashtar ko rag-e-jan se nikala
Un hathon ke qurban ke un hathon se tum ne Khar-e-rah-e-gham pay-e-ghariban se nikala
Arman-zadon ki hain tamannayen bhi pyari Arman nikala to kis arman se nikala
Ye gardan-e-pur-noor ka phaila hai ujala Ya subh ne sar un ke gareban se nikala
Gulzar-e-Ibrahim kiya naar ko jis ne Us ne hi hamain aatish-e-sozan se nikala
Deni thi jo 'alam ke haseenon ko malahut Thoda sa namak un ke namakdan se nikala
Quran ke hawashi pe Jalalain likhi hai Mazmoon ye khat-e-ariz-e-janan se nikala
Qurban hua bandagi par lutf-e-rihayi Yun banda bana kar hamain zindan se nikala
Ae aah mere dil ki lagi aur na bujhti Kyun tu ne dhuan seena-e-sozan se nikala
Madfan nahin phenk ayenge ahbab gadhe mein Taboot agar kucha-e-janan se nikala
Kyun shor hai kya hashr ka hangama bapa hai Ya tum ne qadam gor-e-ghariban se nikala
Lakhon tere sadqe mein kahenge dam-e-mahshar Zindan se nikala hamain zindan se nikala
Jo baat lab-e-Hazrat-e-Isa ne dikhayi Wo kaam yahan jumbish-e-daman se nikala
Munh mangi muradon se bhari jaib-e-do 'alam Jab dast-e-karam aap ne daman se nikala
Kanta gham-e-'uqba ka Hassan apne jigar se Ummat ne khayal-e-sar-e-mujhgan se nikala





