Sar se pa tak har ada hai lajawab Khubruyon mein nahi tera jawab
Husn hai be-misl surat lajawab Main fida tum aap ho apna jawab
Puchay jatay hain amal mein kya kahoon Tum sikha jao mere Maula jawab
Meri hami hai teri shaan-e-Kareem Pursish-e-roz-e-qayamat ka jawab
Hain duayen sang-e-dushman ka iwaz Is qadar narm aisay patthar ka jawab
Paltay hain hum se nikammay beshumar Hain kahin us aastana ka jawab
Roz-e-mehshar ek tera aasra Sab sawalon ka jawab-e-lajawab
Main yad-e-baiza ke sadqay ae Kaleem Par kahan un ki kaf-e-pa ka jawab
Kya amal tu ne kiye is ka sawal Teri rehmat chahiye mera jawab
Mehar-o-mah zarray hain un ki rah ke Kaun de naqsh-e-kaf-e-pa ka jawab
Tum se is bimar ko sehat milay Jis ko de dein Hazrat-e-Isa jawab
Dekh Rizwan dasht-e-Taiba ki bahar Meri jannat ka na paye ga jawab
Shor hai lutf-o-ata ka shor hai Mangnay wala nahi sunta jawab
Jurm ki padash patay ahl-e-jurm Ulti baton ka na ho seedha jawab
Par tumharay lutf aarhay aa gaye De diya mehshar mein pursish ka jawab
Hai Hasan mahv-e-jamal-e-ru-e-dost Ae Nakirain is se phir lena jawab





